Shuru rahman o raheem k nam se
Tamam tareef aor shukar ALLAH k liye hai
kainat ka Rab rahman aor raheem, jaza o saza k
din ka malik ham teri hi bandgi karty hain aor
tuji se madad mangty hain hamy seedy rasty ki
hadayat baksh in logo k rasty ki jin pr tun ne
apna fazal farmya, jo na magzoob howy na
gumra.
SURAT KI AHMIAT AOR FAZLIYAT
Surah fatiha maki surat hai aor is kul ayat saat hain hadis main Surah FATIAH ko buht ahmiyat o fazliyat bayan ki gayi hai.
SURAH K MUKTALIF NAM :
Ahdis main is surah k bht se nam bayan kiye gye hain jis se is surah ki ahmiyat waziah hoti hai
UM MUL KITAB UM MUL QURAN
Surah fatiah ko UM MUL QURAN yani maghz-e-Quran ka nam diya gya hai kyun na k is main Quran Majeed k bunyadi mazameen Tohed aor risalat ka zikr hai.
No comments:
Post a Comment