1 ads

Sunday 24 July 2011

MUSALMANO KI AKSARIYAT HO GI MGR BEKAR (Qaymat ki nishani)

Hazrat soban (RAW) farmaty hain ky ak martba Hazrat Muhammad (SAW) ne ishad farmaya ky ak aisa zamana any wala hai kufar aor batil ki jamaty tumhy khatam krny k liye apis main ak dusry ko is tarah bhula k jama kr lain gi . jasy khany waly ak dusry ko bhula kar piyaly k aas paas jama ho jaty hain. yeh sun kar Ak sahib ne sawal kiya. kya ham is roz kam hon gy ? Ap ne farmaya nahi balky tum log us roz tadad main bht ho gy lakin gross k un tinko ki tarah hon gy jiny pani ka silab baha kar lay jata hai.phr irshad farmaya ky Allah zrur zrur tumhary dushmano ky dil se tumhara rob nikal dy ga. Aor bilzrur yakeenan woh tumhry dilo main kayli aor susti dal dy ga . Ak sahib ne arz kiya susti ka kya sabab ho ga. Us pr Ap (SAW) ne irshad farmaya ky duniya (yani mal-o-dolat se ) muhabat krny lago gy aor mot ko makruh samjny lago gy .barso se yeh peshansoi sadiq ho rahi hai aor muslman aj apni is halt-e-zar ko apni ankhon se dekh rahy hain. Ky koi kom inny na izat-o-woqt ki nigah se dekhti hai na duniya main in ka rahna gawara karti hai. Ak woh b zamana tha ky dusri komey apny uper muslmano ko khumaran dekhna chahti thi. Ak dor yeh hai ky ghair muslim aqwam muslmano ko apni kalmo rooh main rakhna b pasnd nahi karti tamam duniya k muslman ak hi waqat main ak dam khatam ho jayen gy . yeh to hargiz kabi nahi ho ga .Muslmano ko aaj zilat o khawri ka mun kyun dekhna par raha hai aor karoro ki tadad main hoty howy b kyun ghairo ki taraf tak rahy hai. iss ka jawab khud Hazrat Muhammad (SAW) ky irshad main majood hai. Ky dunia ki muhabat aor mot k khof ki waja se yeh hal ho raha hai . Jab muslman duniya ko mahboob na samjhty thy aor Janat ky muqably main ( Jo mot k bagair nahi mil sakti ) duniya ki zindagi in ki nazro main kuch b haqeeqat nhi rakhti thi( iss liye woh mot se darty na thy) To tadad main kam thy.lakin dusri komo pr khumaran rahy aor Allah ki rah main jahad kar k ghairo k dilo tak khakoomat karny lagy. Aj b jo hamra hal hai ham ussy khud badal sakty hain bashart-e-ky pechly muslmano ki tarah duniya ko zaleel aor mot ko azeez-az-jan samjy . wrna zilat aor barti hi rahy gi . (ALLAH WAHID)

No comments:

Post a Comment

Featured Post

funnies Dog Video download here

03001010954 pending hai fir call kar kay pochna hai 5288154