1 ads

Wednesday 13 July 2011

AMANAT KI ADAYGI

Allah tumhy hukam deta hai k amanty un k haqdaro ko ada karo
AMANAT KA MAHFOOM:
                                                    Aam tor pr amanat se murad yeh hai ky koi cheez malik k illawa kisi dusry k pas bagarz hifzat rakhi jaye. lakin amanat ka mahfoom bht wasi hai is main tamam haqooq o faraiz  ki aadygi shamil hai haqooq khwa haqooq ullah se taluq rakhty hon ya haqooq ul ibad se .
AHL-E-IMAN KI SIFAT:
                                                                                             Momeneen ki sifat bayan krty howy Quran Majeed kahta hai 
          (Aor jo apni amanton aor apney wado ka
          pas rakhny waly hain. surah Almomenoon 8)
Momeneen na haqooq ullah se mutaliq amanton main hayant karty hain aor na hi haqooq ul ibad k hawaly se Allah ky bando se kisi kism ki hayant karty hain.
MUNAFAQAT KI NISHANI:
                                                   Amanat main hayanat na karna iman ki nishani hai aor hayant karna munafaqat ki dalil hai. Hazart Muhammad (saw) ne farmaya (us ka koi din nahi jo imanatdar nahi) Is tarah munafiq ki pahchan main se Ak yeh hai k "jab is k pas imanat rakhi ja to khayant kary"
AMANAT KI AADYGI:
                                           Insan ko kabi aisa moqa pash a jata hai ky usy apni cheez ki hifzat k liye dusro ki madad ki zrurat hoti hai insan ka farz hai k jab us se madad mangi jaye to woh daragh na kary. aor jo koi zimdari us par amantan dali jaye khwa woh madi nowiyat ki ho ya ikhlaqi nowiat ki us ko theek theek ada kar dy. Quran Majeed main irshad hai (pas imnat jis k sapord ki ho ussy chahiye k imanat ada kar dy. (surah albaqrah 283)
Hazrat Muhammad (PBUH) ka irshad hai jo tumhary pas imanat rakhy us ki imanat ada kar do aor agr koi tumhry sat hayanat kary to tum us k sat hayanat na karo.

No comments:

Post a Comment

Featured Post

funnies Dog Video download here

03001010954 pending hai fir call kar kay pochna hai 5288154