1 ads

Wednesday 13 July 2011

NAMAZ KA MAQSAD

Beshak namaz behayee aor buraye se rokti hai 
                      (Surah Alankaboot 45) 

NAMAZ BURAYE SE ROKTI HAI:
                                                                Namaz ki haqeeqat pr gor kiya jaye to yeh bat samny ati hai kay yeh sirf namaz hi hai jo burayioun se rokti hai. kyun na k burayioun aor behaye se rokny wali koi aor cheez iss qadr mowasar aor kargar nahi jis qadr namaz hai . 
Jab ak muslman khushu o huzu k sat Allah Tallah kay samny khara hota hai to Allah Tallah k sat woh apny ahad ko durata hai. us k malik o aka hony ka atiraf karta hai. woh iss bat ka ahad karta hai. ky woh gunahoun se roky ga woh khuda ka banda hai.aor us ki marzi k mutabiq zindagi guzarna chahta hai toba ki haqeeqat b yehi hai toba ki tarah namaz b bandy ko gunahoun se pak kar deti hai yeh kam ak muslman din mai panch br krta hai to aisa shaks zrur burayioun se bachy ga.

MUNAFIQ KI NAMAZ:
                                                                                     Namaz tamam burayioun se rokti hai khwa woh fahasha ya munkir se taluq rakhti ho. dunia main iss k illwa koi aor tariq tarbiyat nahi jo insan ko in burayioun se rok saky. koi shaks agr iss k bawajood be ky woh namaz parta hai aor burayioun se nahi rokta to iss ka mtlb hai us ki namaz  darhaqeeqat namaz hi nahi aor na insan namaz se koi faida utthany ki niyat rakhta ha ashi namaz goya manafiqat ki namaz hai.
Hazrat Muhammad (SAW) ka irshad hai "jis shaks ki namaz ne ussy behayee aor bury kamo se na roka to us ki namaz ne ussy Allah se aor dur kar diya' ashi namaz darsal manafqeen  ki namaz hai 

No comments:

Post a Comment

Featured Post

funnies Dog Video download here

03001010954 pending hai fir call kar kay pochna hai 5288154