1 ads

Sunday, 24 July 2011

MUSALMANO KI AKSARIYAT HO GI MGR BEKAR (Qaymat ki nishani)

Hazrat soban (RAW) farmaty hain ky ak martba Hazrat Muhammad (SAW) ne ishad farmaya ky ak aisa zamana any wala hai kufar aor batil ki jamaty tumhy khatam krny k liye apis main ak dusry ko is tarah bhula k jama kr lain gi . jasy khany waly ak dusry ko bhula kar piyaly k aas paas jama ho jaty hain. yeh sun kar Ak sahib ne sawal kiya. kya ham is roz kam hon gy ? Ap ne farmaya nahi balky tum log us roz tadad main bht ho gy lakin gross k un tinko ki tarah hon gy jiny pani ka silab baha kar lay jata hai.phr irshad farmaya ky Allah zrur zrur tumhary dushmano ky dil se tumhara rob nikal dy ga. Aor bilzrur yakeenan woh tumhry dilo main kayli aor susti dal dy ga . Ak sahib ne arz kiya susti ka kya sabab ho ga. Us pr Ap (SAW) ne irshad farmaya ky duniya (yani mal-o-dolat se ) muhabat krny lago gy aor mot ko makruh samjny lago gy .barso se yeh peshansoi sadiq ho rahi hai aor muslman aj apni is halt-e-zar ko apni ankhon se dekh rahy hain. Ky koi kom inny na izat-o-woqt ki nigah se dekhti hai na duniya main in ka rahna gawara karti hai. Ak woh b zamana tha ky dusri komey apny uper muslmano ko khumaran dekhna chahti thi. Ak dor yeh hai ky ghair muslim aqwam muslmano ko apni kalmo rooh main rakhna b pasnd nahi karti tamam duniya k muslman ak hi waqat main ak dam khatam ho jayen gy . yeh to hargiz kabi nahi ho ga .Muslmano ko aaj zilat o khawri ka mun kyun dekhna par raha hai aor karoro ki tadad main hoty howy b kyun ghairo ki taraf tak rahy hai. iss ka jawab khud Hazrat Muhammad (SAW) ky irshad main majood hai. Ky dunia ki muhabat aor mot k khof ki waja se yeh hal ho raha hai . Jab muslman duniya ko mahboob na samjhty thy aor Janat ky muqably main ( Jo mot k bagair nahi mil sakti ) duniya ki zindagi in ki nazro main kuch b haqeeqat nhi rakhti thi( iss liye woh mot se darty na thy) To tadad main kam thy.lakin dusri komo pr khumaran rahy aor Allah ki rah main jahad kar k ghairo k dilo tak khakoomat karny lagy. Aj b jo hamra hal hai ham ussy khud badal sakty hain bashart-e-ky pechly muslmano ki tarah duniya ko zaleel aor mot ko azeez-az-jan samjy . wrna zilat aor barti hi rahy gi . (ALLAH WAHID)

Thursday, 21 July 2011

har bad ka zamana phely se bura ho ga (Qayamat ki nishaniya)

Hazrat zubair bin adi (R.A.W) farmaty hain ky ham hazrat ans (R.A.W)  ki hidmat main hazir howy aor hajaj ky zulm ki shikayat ki. Hazrat ans (RAW) ne shikayat sun kar farmaya sabr karo maloom nahi agy kya ho kyun na k koi zamana b tum pr aisa na aye ga ky us ka bad wala zamana us se zyada bura na ho jab tak tum apny rab se mulaqat na kr lo yani marty dam tak aisa na ho ga ky any wla zamna phele se aor mojooda zamany se acha a jaye) yeh bat main ne Hazrat Muhammad (SAW) se suni hai 



KUFAR KI BAR MAR HO GI (QAYMAT KI NISHANI)
                  Hazrat abu huraira (RAW) farmaty hain ky Hazrat Muhammad (SAW) ne irshad farmaya ky andheri rat k tokro ki tarah anny waly (siya) fitno se phele (naik) amal karny main jaldi kro (is zamny main) insan subha ko momin ho ga aor sham ko kafir ho ga ya sham ko momin subha ko kafir ho ga zara si dunia k badly apny din ko bech daly ga .

Qaymat ki nishaniya

 MASJIDDY SAJYE JAYEN GI AOR IN MAIN DUNIA KI BATTY HOWA KARY GI
                                                                    Hazrat ans (R.A.W) farmaty hain ky Hazrat Muhammad (SAW) ne irshad farmaya ky qaymat ki nishanioun main se ak yeh b hai ky log masjiddy bana k fakhr kary gy 
Aj kal yehi hal hai Aor bakol hazrat ibn e abbas (R.A.W) tum zrur masjiddo ko yahood-o-nisara ki tarah sajao gy 
Dil ko muntashir krny waly rang barang k tail, jarr, falos dilfareb farsh aor bashbaha pardy aor dusra zeb-o-zenat aor aram-o-rahat ki cheezy masjiddo main majood hain. aor inn dunyawe cheezo ne masjido main ponch kr oqat namaz k illwa masjido ko maqfil karny pr majbor kr diya hai aor hifzat k liye mustaqil nigrano aor chokedaro ki zrurat paida kar di hai masjid in dunyawy cheezo se abd hai aor namzion se khali hai. Jo namzi hain woh masjiddo main duniya ki batto main mashgol rahty hain. masjido main na khusu wali namz hai na taleemi halky (group) na deeni mashwary hain na zikr-o- talwat se abad hai. Behaqi ki rawiyat main hai jo shab ul iman main marvi hai Ky Hazrat Muhammad (SAW) ne irshad farmaya ky ak zamny main aisy log hon gy jin ki dunyawe batty un ki masjiddon main howa kary gi tum in k pas na bethna kyun na ky Allah pak ko in ki koi zrurat nahi hai .

                                                                                                                                                                                              

Tuesday, 19 July 2011

ALLAH SAB KUCH JANTA HAI

Woh Allah hi hai jis ne tum ko mati se paida kiya phr tumhry liye mot ka ik waqt muqarrar kar diya aor qaymat ki ak mudat aor b us k pas muqarrar hai mgr tum log ho k shak main pary howy ho (Surah alinaam ayat num 2)

Wohi ak Allah asmano main b hai aor zameen main b , woh tumhary zahir aor poshida tamam haal janta hai aor jo burye ya nayki tum kamaty ho ussy b woh khob janta hai ( Surah Alinaam ayat 3)

HAD SE AGY NA BARHO

A Iman walo Allah ne jo pakiza cheezy tumhary liye halal ki hain inney apny uper haram na kar lo, aor had se agy na barho, beshak Allah hadh se agy nikal jany walon ko pasand nahi karta (83ayat)

Jo kuch halal aor pakeeza cheezy Allah ne tum ko di hain us se khao peeyo aor Allah se darty raho jis pr tum iman laye ho(84ayat) Surah Almaida

KUFAR KI HALAT MAIN MOT

Toba in logo k liye nahi hai jo barbar gunah karty rahty hain yahan tak k in main se kisi ki mot ka waqat a jaye to us waqt woh kahny lagy ky ab main toba karta hun aor isi tarah toba un logo ky liye bi nahi hai jin ko kufar ki halt main mot a jati hai aisy logo k liye to ham ne dardnak azab tiyar kar rakha hai ( Surah Alnisa ..4 ayat 18)

Saturday, 16 July 2011

MUSLAMANO K AK DUSRY PR HAQOOQ

Hazrat abu huraira (R.A.W) se rawaiyat hai ky           Hazrat Muhammad (S.A.W) ne farmaya ak musalman k dusry musalman pr six haqooq hain.
1) Jab woh bemar ho jaye to us ki ayadat kro
2) Aor jab woh mar jaye to us k janazy main hzar hon
3) Aor jab woh dawat dy to ussy kabol kary.
4) Jab us se mulqat ho to salam kary.
5) Jab ussy cheenk aye to tashmiyat
Yarhamakallah kahy
 
Yarhamakallah: (Meaning)
                                             Yarhamakallah is a phraze meaning '(may) Allah be gracious towards you'
6) Us ki khair khawye kary jab woh hazir ho ya gaib.
                            

Wednesday, 13 July 2011

NAMAZ KA MAQSAD

Beshak namaz behayee aor buraye se rokti hai 
                      (Surah Alankaboot 45) 

NAMAZ BURAYE SE ROKTI HAI:
                                                                Namaz ki haqeeqat pr gor kiya jaye to yeh bat samny ati hai kay yeh sirf namaz hi hai jo burayioun se rokti hai. kyun na k burayioun aor behaye se rokny wali koi aor cheez iss qadr mowasar aor kargar nahi jis qadr namaz hai . 
Jab ak muslman khushu o huzu k sat Allah Tallah kay samny khara hota hai to Allah Tallah k sat woh apny ahad ko durata hai. us k malik o aka hony ka atiraf karta hai. woh iss bat ka ahad karta hai. ky woh gunahoun se roky ga woh khuda ka banda hai.aor us ki marzi k mutabiq zindagi guzarna chahta hai toba ki haqeeqat b yehi hai toba ki tarah namaz b bandy ko gunahoun se pak kar deti hai yeh kam ak muslman din mai panch br krta hai to aisa shaks zrur burayioun se bachy ga.

MUNAFIQ KI NAMAZ:
                                                                                     Namaz tamam burayioun se rokti hai khwa woh fahasha ya munkir se taluq rakhti ho. dunia main iss k illwa koi aor tariq tarbiyat nahi jo insan ko in burayioun se rok saky. koi shaks agr iss k bawajood be ky woh namaz parta hai aor burayioun se nahi rokta to iss ka mtlb hai us ki namaz  darhaqeeqat namaz hi nahi aor na insan namaz se koi faida utthany ki niyat rakhta ha ashi namaz goya manafiqat ki namaz hai.
Hazrat Muhammad (SAW) ka irshad hai "jis shaks ki namaz ne ussy behayee aor bury kamo se na roka to us ki namaz ne ussy Allah se aor dur kar diya' ashi namaz darsal manafqeen  ki namaz hai 

AMANAT KI ADAYGI

Allah tumhy hukam deta hai k amanty un k haqdaro ko ada karo
AMANAT KA MAHFOOM:
                                                    Aam tor pr amanat se murad yeh hai ky koi cheez malik k illawa kisi dusry k pas bagarz hifzat rakhi jaye. lakin amanat ka mahfoom bht wasi hai is main tamam haqooq o faraiz  ki aadygi shamil hai haqooq khwa haqooq ullah se taluq rakhty hon ya haqooq ul ibad se .
AHL-E-IMAN KI SIFAT:
                                                                                             Momeneen ki sifat bayan krty howy Quran Majeed kahta hai 
          (Aor jo apni amanton aor apney wado ka
          pas rakhny waly hain. surah Almomenoon 8)
Momeneen na haqooq ullah se mutaliq amanton main hayant karty hain aor na hi haqooq ul ibad k hawaly se Allah ky bando se kisi kism ki hayant karty hain.
MUNAFAQAT KI NISHANI:
                                                   Amanat main hayanat na karna iman ki nishani hai aor hayant karna munafaqat ki dalil hai. Hazart Muhammad (saw) ne farmaya (us ka koi din nahi jo imanatdar nahi) Is tarah munafiq ki pahchan main se Ak yeh hai k "jab is k pas imanat rakhi ja to khayant kary"
AMANAT KI AADYGI:
                                           Insan ko kabi aisa moqa pash a jata hai ky usy apni cheez ki hifzat k liye dusro ki madad ki zrurat hoti hai insan ka farz hai k jab us se madad mangi jaye to woh daragh na kary. aor jo koi zimdari us par amantan dali jaye khwa woh madi nowiyat ki ho ya ikhlaqi nowiat ki us ko theek theek ada kar dy. Quran Majeed main irshad hai (pas imnat jis k sapord ki ho ussy chahiye k imanat ada kar dy. (surah albaqrah 283)
Hazrat Muhammad (PBUH) ka irshad hai jo tumhary pas imanat rakhy us ki imanat ada kar do aor agr koi tumhry sat hayanat kary to tum us k sat hayanat na karo.

Monday, 11 July 2011

SURAH FATIAH

         Shuru rahman o raheem k nam se
       Tamam tareef aor shukar ALLAH k liye hai
    kainat ka Rab rahman aor raheem, jaza o saza k
    din ka malik ham teri hi bandgi karty hain aor   
      tuji se madad mangty hain hamy seedy rasty ki 
      hadayat baksh in logo k rasty ki jin pr tun ne
     apna fazal farmya, jo na magzoob howy na       
                                 gumra.
   SURAT KI AHMIAT AOR FAZLIYAT
                                                                   Surah         fatiha maki surat hai aor is kul ayat saat hain  hadis main Surah FATIAH  ko buht ahmiyat o fazliyat bayan ki gayi hai.

SURAH K MUKTALIF NAM :
                                                         Ahdis main is surah k bht se nam bayan kiye gye hain jis se is surah ki ahmiyat waziah hoti hai
UM MUL KITAB UM MUL QURAN
                                                                 Surah fatiah ko UM MUL QURAN yani maghz-e-Quran ka nam diya gya hai kyun na k is main Quran Majeed k bunyadi mazameen Tohed aor risalat ka zikr hai.
                               

Saturday, 9 July 2011

Adlo Insaf

ADL-O-INSAF
                             Aor kisi kom ki dushmini tumhy is bat pr majbor na kar dy k tum adal na karo 
ADAL k lagvi meaning seeda karna barbar krna tawzan-o-tansab kaim krna .



ADAL KA ISTALAHI MAHFOOM:
                                                                                                                                     Jis ka jo haq kisi pr aaide hota hai ussy ada kar diya jaye

Wednesday, 6 July 2011

MAHBOOB MAL KA INFAQ

Tum Allah ki mahbobiyat ka darja hargiz hasil nahi kar sakty jab tak un cheezo main se harch na karo jin ko tum mahboob rakhty ho (Al Imran92)

Is ayat main is bat ko explain kiya howa hai k koi shaks Allah Tallah ki mahbobiyat ka muqam khali dawo aor chand rasmo k ada kr deny se hasil nahi kar sakta. Balky is k liye qurbani ki zrurat hai jab tak Allah ki rah main apni mahboob (pasandeeda) cheezo se kharch na kry us waqat tak yeh muqam hasil nahi ho sakta.


                                                              

Quran Majeed

QURAN KY LAGVI MAHFOOM
                                                        Quran Majeed se murad ashi akhri asmani kitab hai jo Allah ky akhri nabi Hazrat Muhammad (PBUH) pr Bazariya wahi nazil hui hai.

ISMA-UL-QURAN
                                 Quran Majeed main Quran ka taruf, Allah Tallah ne differnt namo se karya hai jis se Quran Majeed ki Kubiyo ka izhar hota hai Quran Majeed main jo differnt ismaa (name) ka zikr howa hai in main chand ak darj zail hai:

(1) QURAN
                    (Bar Bar pari janey wali kitab)

Ramzan ka mahina woh hai jis main Quran Majeed nazil kiya giya 

(2) FURQAN:
                                                    (Farq krny wali)
  
Quran khaq aor batil ky darmiyan farq karny wali kitab hai is liye isey Furqan kaha giya hai.

(3) KITAB:
                   (Zabt-e-tahrir main laye hoi cheez)

                            yeh kitab-e-ilahi hai

(4) HADAYAT:
                           (Rah dekhny wali)
                     ( yeh logo k liye hadayat hai)
  
(5) TAZKARA:     
                                      (Yaduhani)
                                  yeh yaduhani hai

(6) NOOR:
                    (Roshni)
    Allah Tallah ki taraf se tumhary pas noor hadayat a chuka

(7) SHIFA:
                     (Bemarion ko door krny wali)
                        jo muslamano k liye shifa aor rahmat hai

Featured Post

funnies Dog Video download here

03001010954 pending hai fir call kar kay pochna hai 5288154